Khud se Pyar kiya hai ?
Auro ko toh bahut pyar diya hai,
Kya tumne khud se thoda pyar kiya hai ?
Subke liye bahut kuch kiya hai,
Kya tumne khud ke liye thoda sa kuch kiya hai ?
Har bar dusro ko naya taufa diya hai,
Kya tumne khud ke liye kabhi kuch liya hai ?
Logo ko umid aur bharosa tumne diya hai,
Kya tumne khud per itna vishwas kabhi kiya hai ?
Duniya ko tumne Gulzar kiya hai,
Kya tumne khud se thoda sa bhi pyar kabhi kiya hai ?
Ashish Sharma @thatsmeashi...
🖤🖤
❣️❣️
Jhilmil💗 @jovialgirl
🤍🤍
❣️❣️