Kuch logon lo aisa kyun lagta hai yaar ki puri duniya unhi k hisaab se chalti hai.
Unko lagta hai bas unke problems hi genuine hain, baaki sab k problems mazak.
Hamesha dusron se expect karte hain ki wo unke liye available rahe. Arey jiske liye tum available nahi rehte eo tumhare liye kyun rahega.
Jab tumhare pass baat karne ko time nahi rehta par tumhare dost ko tumhari jarurat hoti hai tab toh ignore kar dete ho, toh jab tumhe jarurat padne pe wo hi dost available nahi rehta toh ussey behes kyun karne lagte ho.
Hadd hoti hai yaar, koi itna bura aur selfish kaise ho sakta hai.
Nahi lagti hogi tumko dusron ki problems badi apne problems k saamne, par jiski problem hai usko toh badi lag rahi hai na, help nahi kar sakte toh usko akela hi rehne do jaise hamesha akela rehne dete ho, taane maarne ki kya jarurat hai.
Har cheez mein dusron ko gyaan nahi diya jata, kuch gyaan khud ko bhi do aur khud pe implement karo, tabhi koi tumhare dukh mein tumhare saath rahega.
Hadd hai yaar, pata nahi roz roz mood kharab kar dene mein kya maza aajata hai.
Totally shameless behavior.
anonymous @kratika
Duniya hai kuch bhi ho sakta hai
anonymous @kratika
Bas accept karo aur aage badho
anonymous @kratika
Ek din fark padna bhi band ho jaayega
Haan
So true, I have been through the same and these people are so selfish that one cannot imagine aur jab bolne jao tab khud victim card play karne lag jate hai β¦ Bhai jaise tumhare problems hai waise sabke hai aur shayad tumse zyada hai. Par nhi these people are so selfish
Sahi baat hai
Khud mein empathy hai nahi, aur puri duniya ki empathy chahiye inhe
Well said
Exactly⦠Bass lena hai inko dena nhi hai ⦠Selfish ek number k
Haan