yash birawat @birawat
I sometimes do write poetry and I really need someone to read it with their soul and heart, like every word.
NASR -
kafha ho humse yeh jayaz hai,
zara aur kareeb aao ek ghuftgu ki mannat hai.
tere ashko se baaton ki mehfil hai,
tere hotton pe jaise na koi nishani.
ao chalo ek dard - e - geet mein tumhe shamil karu,
ek nasr se tumhe wakif karu.
jannat ke harr naam pe hasna aaya,
jab woh aaye tab hua aitbaar iss madhoshi mein.
jaise koi noor hai saji in maikhano mein.
door tha kahin uska baasera,
baas tapti ashko se dekha hai usko kabhi,
karwatein badaltein raatein hai kati meri.
deedar se kabhi hui na muqamal mujhe woh parda - e - nashein,
zara sa sambhal lo mere yaar mujhe,
shayadh phir kisi pe yeh awara dil philsal gaya hai.
par jab phisla hai yeh dil mera toh gira hai aisa,
hum the wahi woh roz,
ussi maikhano mein, ussi andheero sadako mein,
ussi manhoos baarish mein, ussi juloos mein,
unhi logo ke bheed mein jahan se teri parchayi hai nikli,
naraz nahi hum ke tumne dekhi hai jannat kahin aur,
naraz hai hum ke tumne kabhi dekha nahi hume.
galti kabhi na thi tumhari mana hai yeh,
par mere iss mohabbat ke anjaam pe bahot rona aaya,
jaane kyu tere jaane se hume rona aaya.
ke tum ho bhi nahi,
phir bhi yeh daastan meri tanhai ko hi sunaya.
- Yash Birawat
Fatima @ulasidahm12
AMAZING! ππ
yash birawat @birawat
Thank you v much!
Really appreciate it.
Fatima @ulasidahm12
Anytime.
Itβs really amazing. I enjoyed reading.
Ayush @ayush69
Nice one yrr π€π
Ashish Sharma @thatsmeashi...
π€π€π€