Sharing Our Innermost Thoughts

share your deepest feelings and emotions in a safe and supportive environment.

βš•οΈDepression

πŸ§‘Anxiety

😰Stress

πŸ’—Relationships

Create Thought

β€Ί3am Thoughtsβ€ΊThought

πŸ‘€
Anonymous

Later I realised buri na koi ladki hoti, bura na koi ladka hota, bure bs haalat hote hai jo hum control nahi kar paate. Waqt Kam hota hai, or patience ussey bhi kam. Ladka ho ya ladki, dono ki baat apni apni jagah sahi hai. Koi kisi ke bare me ye nahi chahata ki iske sath kuch bura ho. Insaan ko shayad practical hi rehna chahiye zyada se zyda taaki emotions me aake week na ban jaye. Or thodi galtiyan toh har insan karta hi hai, koi bhi perfect nahi hota, insan galtiyan karke hi seekhta hai, or mature banta hai. Jo aaj immature hai wo kabhi toh mature banega hi, or jo aaj mature ban chuka hai wo bhi toh kabhi na kabhi immature raha hoga na.

Bs aise hi dil me tha isiliye likh diya yaha. Kisi ek ke liye specific nahi hai, general hai mere, aapke, sabhi ke liye πŸ«‚

🌁
πŸ‘€
5 replies
This thought has been deleted by the thought author
🌁
Anonymous
β€’

It’s not about ki bura wakt hota hai, hum bas kuch cheeze galat karte hai same goes for samne wala, we are humans and make mistakes, bas kuch log samjhke move on karte hai and make themselves better and kuch log nahi samajhte hai or in turn dubara Wahi galati karte hai. It’s just we learn and grow. Wakt bura ho hi nahi sakta because time is dimension nothing else, wakt ko describe nahi kiya ja sakta. Bas accept the reality or apne aap ko improve karo this way it would be easier warna life Mai wakt ko hi blame karte rahoge or kudh lessons nahi Sikhoge. Or practical emotions ko hide ya weak na ho iskeliye nahi hona chahiye, practical or mature apni reality ko accept karne ki strength pane ke liye hona chahiye. Jo mature hota hai Woh maturity se situations handle kar sakte hai and jo immature hota hai Woh kudh ko again, improve karta hai or galati manta hai. And sabh galat nahi hote but sabhne galati ki hoti hai. Toh better hai ki acceptance ko accept karo na ki β€œacche” wakt ka intazaar or emotions ko nikalna chahiye bas kudh mai , emotions ko private mai accept Karke come stronger infront of everyone that’s it.

πŸ‘€
Anonymous
β€’

Great

user_group_img

8374 users have benefited
from FREE CHAT last month

Start Free Chat
start_free_chat_cta_image