Sharing Our Innermost Thoughts

share your deepest feelings and emotions in a safe and supportive environment.

⚕️Depression

🧑Anxiety

😰Stress

💗Relationships

Create Thought

AnxietyThought

Ravi @ram1996

din morning me 6 baje start hota ha, 6am baje utho, 7am baje shop open karo, 1 PM close karke lunch karne room par jao, khana bano, so jao, 4 baje shop open karo, raat 10 baje close ke room par jao, khana bano so jao, same routine every day, na koi holiday, sometimes I feel that I’m working like a robot,
Na friends ha pass me, na family,
Shop par bhi akela hu, vese papa ha pass me, unse kaam ke alwa kisi or topic par syad aaj tak koi baat hi nhi huwi, … Friends sab india me goverment jobs ki prepration kar rhe, to unhe bhi jyada diatrub nhi kar skta, khabhi sochta hu kya mera bhi prepration cchhodne ka decision shi tha ya galt, jab khabhi friends se baat hoti ha to bolte ha, shi ha tu shi time par nikal gya oman, warna india me prepration ke chakar me pada rahta, …, khabhi sochta hu itna padhne likhne, ke baad shop me kaam karne ka decision khi pressure me liya gya galat kadam to nhi tha, … ,
Money bhi life survival ke liye bhoot important ha, pata ha, …
Par uske liye, family, friends, khud ke liye time, sab kuch hi cchod diya to baaki kya baccha, … ,
Man itna niras hone par khud ko khafi baar smjhta hu, kitne logo ke pass kuch bhi karne ko nhi, tere pass khud ka kuch karne ka to ha, kitne logo ke pass 2 time ka khana bhi nhi ha , par tere pass to ha… ,

Kitna khud ko samjhauu pata nhi, par fir kuch din baad ye hi feel hone lagta ha, mene life jina cchod diya ha, bus kisi program kiye huwe robot ki trha chala ja rha ha, …

Kab tak chalta jayega pata nhi, …

🏬
1 reply
🏬
Anonymous

bhai aajkl sb ki life lagbhag aisi hi hogayi hai…cheeze alag hai pr hai wahi… jo kr h krta hai kuch naya try kr skta h side se thoda

user_group_img

8594 users have benefited
from FREE CHAT last month

Start Free Chat
start_free_chat_cta_image